Skip to main content

Android Phone me Do same Apps Install Kaise Kare

Android Phone me Do same Apps Install Kaise Kare

Android Phone me Do same Apps Install Kaise Kare

Android Phone ki ek aur series mein aapka swagat hai aur umeed karte hain aap logo ki sehat thik thak hogi. Toh jaise ki aaj hum aapko Android Phone me Do same Apps Install Kaise Kare? ya bole toh Dual same apps kaise chalaye Android Phone me? iske baare me sikhayenge. Naa ki bus aapko Android Phone me Do apps Install karna balki isme kuch aur bhi search kiye jaane wale topics cover honge jaise Android Phone me Do Whatsapp kaise Install kare, Do Facebook app kaise Install kare ek Android Phone me. Toh bina deri kiye shuru kiya jaye aaj ka post.


Do Same Apps kyu Install karne hain?

Dosto sabse pehle jaan lete hain ki hamein kyu do same apps Download ya Install karne ki jarurat padti hai? Toh iska simple jawab yeh hai ki jab aapka ek app se kaam nahi bann raha toh aapko jarurat padti hai ki aap usi same app ko Do baar Install kare. Example ke liye Whatsapp ko le lete hain. Jaisa ki aapke Phone me Ek Whatsapp aur Phone hai par aapke pass 2 sim hain toh aap chahenge ki kaash main iss phone me dono number se whatsapp chala saku toh tab aapko Do Same Apps Install karne ki jarurat padti hai.


Android Phone me Do same Apps Kaise Install Kare

Toh Dosto agar aapko bhi apne Android Phone me Do Do Same apps ko chalana hai toh aap hamara post ant tak dekhe jissay ki aapko pata lag jayega ki Android Phone me Do same Apps aap kaise Install kar sakte ho. Zyada jankari ke liye bata dein ki Do Same apps ko apne Android Phone me chalana koi mushkil baat nahi aur do aaps ko android phone me install ka tarika bahut asaan hai jo hum aapko niche batayenge ki kaise aap Do apps chala sakte hain voh be bina phone ko root kiye.

1. Sabse pehla tarika Do same apps ko Install karne ka hai - App ki madad se. Toh Dosto aapko bata dein ki market mein bahut apps aate hain Dual apps chalane ke jissay aap ek Phone me Do Do apps chala sakte hain. Apko inn apps me jaa ke app ko clone karna hota hai jissay aap ek phone me Do apps asaani se chala paogey. Aapko hum niche list me bata denge ki kon kon se apps hain Jinse Dual apps chalte hain.

Do App chalane wale Apps



2. Dusra Tarika yeh hai Do apps ko chalane ka ki apka phone support kare dual apps Aap khud toh uske ander feature daal nahi sakte par aap check kare Settings me jaa ke ki apka Phone Dual apps support karta hai ja nahi. Example ke liye bata dein ki Xiaomi ke devices Dual apps ko support karte hain jo aapko phone ki Settings me mil jayega jissay aapko koi Third Party app ki zarurat nahi hai.

3. Ek aur tarika hai jissay aap Do same apps apne android Phone me Chala sakte ho. Vo hai User add karke. Aapne dekha hoga ki bahut se phones me Jab aap upar se niche scroll karte ho toh aapko User ka option milta hai. Vahan jaa ke add user ka option milega. Add kare aur aap koi bhi aap vahan Download karke use kar sakte ho. Example ke liye New Whatsapp aap vahan use kar sakte ho. Iss tarah aap new user bana ke bahut se same apps chala sakte ho ek Android Phone me.


Do Whatsapp Kaise Install Kare

Do Whatsapp aapke Android me kaise Install Honge Vo hum Aapko niche batate hain:

  • Dual app ke support se: Aap Dual app Support karne wala app jaise Parallel space Install kar lein aur usme jaa ke aapko whatsapp dikh jayega uspe click karke usay clone kar le. Uske baad Parallel app ke ander he aapko ek whatsapp mil jayega jisme aap naya whatsapp number daal ke use kar sakte ho.

  • User add karke: User add karna kya hota hai jaise humne aapko upar bataya ki bahut se Android phone me jab hum upar se niche scroll karte hain toh upar User ka Profile icon dikhta hai. Uspae jaa ke user add kare aur aapke samne ek new Phone jaisa khul jayega. Fir se usme Playstore pe Gmail id se login kare aur Whatsapp install kare aur asaani se chalaye.

  • Third Party GB whatsapp se: Ek aur tarika hai ek Android phone me Do Whatsapp chalane ka wo hai GB Whatsapp. GB Whatsapp ek Modified Version hai Whatsapp ka. Jisay Download karke aap ek Phone me Do whatsapp chala sakte ho. Ek aapka Playstore wala whatsapp aur ek Yeh GB whatsapp. Zyada janna hai toh link par jaa ke dekh sakte hain GB Whatsapp kya Hai? Aur Hum niche aapko Official source jahan se aap GB whatsapp Download kar paogey vo link de denge aur yeh raha aap niche link.

GB Whatsapp Download



The End

Toh Dosto aaj ka safar yahi tak tha phir se milenge ek aur new topic ke sath. Tab tak ke liye apni sehat ka khayal rakhein. Have a Good Day!

Ab baari hai aapki likhne ki. Aap hamein niche likhke bataye ki aapko yeh post “Android Phone me Do same Apps Install Kaise Kare” kaisa laga.

I hope ki aab aap asani se Apne Android Phone me Dual Apps Use kar pa rahe honge. Agar koi pareshani ah rahi ho toh comment me likhkar batayen. Hum aapki sahayata me uplabdh rahenge.

Comments

Post a Comment

Recent Posts

Twitter ke Videos Download Kaise Kare in Hindi?

Twitter ke Videos Download Kaise Kare? Twitter kon kon chalata hai. Well i guess ki aap sab log chalate honge tabhi toh aaj aap hamare iss post mein aye hain. Toh jaisa ki aap logo ne title padh he liya hoga Twitter ke Videos kaise Download Kare. Aur main aapko detail mein Twitter se videos ko Download kaise karna hai sikhaunga mera matlab hai ki Mobile me, Pc me Twitter Videos ko kaise Download kar sakte hain. Mobile me Android, Iphone me aur Pc me Laptop aur Computer me Twitter se videos ko Download karna sikhana mera aaj ka kaam hai aap logo ke liye toh chaliye dekh lete hain zra Kaise Kare Hindi mein ke iss post ko. Article ko start karne se pehle thoda bata dete hain ki Aapko Twitter se videos kyu Download karni hain aur kya kya savdhani baratni chaiye Videos Download karne ke baad. Toh dosto aapko Twitter ke Videos Download karne ki Zarurat yahi hogi ki aap us video ko baar baar dekhna chahte hain apni Phone Gallery mein save kar ke. Dosto aapko bata dein ki Dusro ki

Jio Customer Care se Baat Karne ke liye Number

Jio Customer Care se Baat Karne ke liye Number Hello and Swagat hai My dear friends ka aur My Dear Brothers and Sisters kaise ho aap sab? Comment mein apna haal chal share karein. Jio kitna bada brand ban gaya hai 2017 se. Itna bada ki jald he pure market mein tahalka machayega kuch saalo mein. Aaj hum aapki ek problem ka solution lekar aye hain jo hai ki Jio Customer Care se Baat Karne ke Liye Number. Jaise ki Hamare post mein bahut kuch related information cover ki jaati hai jiss tarah ka article hota hai usi ke related puri info ke sath aapko bataya jata hai vo bhi Kaise Kare Hindi mein. Actually yeh hamare blog ka Naam bhi hai toh isi bahane thodi si promotion.  Toh aaj bhi hamare article mein start kiya jayega Jio Customer Care ke baare mein jankari se aur fir aapko sikhayenge ki Sim, Jio Phone, JioFiber, Jiofi se related questions ke jawab pane ke liye customer care se kaise aur kahan baat kare aur Jio Money se related queries ko janne ke liye customer care se kaise ba

Facebook Account Hack Kaise Kare in Hindi

Facebook Account Hack Kaise Kare in Hindi Dosto aaj ka topic bahut he khaas aur favourite hone wala hai kyuki aaj hum baat karenge hamara pyara sabka dulara facebook ke baare mein. Facebook hack karne liye kitne log janna chahte hain. I am sure ki yaha jitne bhi iss post ko padh rahe hain vo sab kisi na kisi ki facebook ko hack karna chahte hain. Toh chaliye fir aaj hum aapko sikha he dete hain ki Facebook Account Hack Kaise Kare in Hindi me.  Facebook account hack karne ke bare mein toh hum aapko sikhayenge he vo toh obvious si baat bhi hai magar sath he sath hum aapko kuch aur pehle batayenge jaise Facebook hack ke baare mein jankari, Facebook Hack kyu karna hai, kya facebook hack ho sakta hai? Yeh sab bata ke hum aapko facebook hack karna batayenge. Shuru karne se pehle aapko batana chahte hain ki facebook hack karte waqt aapko pareshaaniyo ka samna karna pad sakta hai toh koi bhi illegal facebook account hack na kare aur aapko sabhi steps ko one by one deyan se follow kar