Skip to main content

Kisi bhi Sim ka Data Balance kaise Check kare?

Kisi bhi Sim ka Data Balance kaise Check kare

Welcome hai aapka ek aur fresh blog post me jahan aapko bataya jayega ki Jio, Airtel, Vodafone Idea, Bsnl ka Data balance kaise check kiya jata hai ja bole toh Kisi bhi sim ka Data Balance kaise check kare. Toh agar aap ab tak nahi jaante ki apke sim me data mb kaise check karte hain fir yeh Article toh khaas aapke liye hai. Jaise ki humne bataya ki isme hum sab sim cards ka data balance check karna aapko sikhane wale hain toh bane rahe hamare sath aur sikhte rahe kaise kare hindi me.


Vodafone ka Data Balance kaise check kare

Sabse pehle baat karte hain ki Vodafone ke Sim ka Data Balance kaise check kare? Toh data balance check karne ke 3 method hain agar aapke pass ek vodafone ki sim hai. Ek hai ussd code aur dusra hai Vodafone ki App ke through. Niche Hum apko dono mein data check karna details main sikhayenge.



Vodafone ka Data Ussd code ke zariye check kare: Aapko apne phone ka dialer open karke ek code dial karna hai aur veh hai *111# uske baad apko ... aapka jitna bhi data balance bacha hoga yeh validity ke sath show kar dega  aur agar ek baar mein code daal ke data balance pata karna hai toh aap *111*4*2# daal ke bhi pata kar sakte hain ek he baar me code daal ke.



Vodafone ka Data App ke zariye check kare: Dosto aapko bata dein ki Vodafone ka Data balance aap Vodafone app ke zariye bhi check kar sakte hain aur uss app ka naam hai MyVodafone App. Playstore se jaa link ko follow karke aap app Download kare pehle. Fir yeh aapka number puchega. Apna Vodafone number daale aur OTP ayega usay enter karke verify kare. Fir aapka yeh Data balance pehle page par show kar dega. Ya toh aap side me My Active Services me jaa ke bhi data balance check kar sakte hain.

Toh inn do Tariko ki madad se aap apne Vodafone sim ka data balance check kar sakte hain.




IDEA ka Data Balance kaise check kare
Ab Dosto hum baat karne wale hain ki agar aapke pass ek IDEA ka Sim hai toh aap IDEA ka Data balance kaise check karenge. Iska jawab bhi bilkul asaan hai aur voh hai dialer pad me jaa ke ussd code ke through ya IDEA app ke through. Niche hum aapko dono me batayenge ki aap kaise data mb check karenge.



Ussd code se IDEA ka Data Balance check kare: IDEA ka sim use karte hain toh aapko apna dialer pad open karna hai aur wahan type karna hai *125# aur isko dial karne ke turant baad aapka data balance kitna mb ya gb bacha hai ya use hua hai yeh dikha dega.



IDEA App se Data Balance check kare: Dusra tarika hai IDEA me data balance check karne ka My IDEA App. Aap playstore se ya direct link ko click karke My IDEA app Download kar lein aur usay open kare. Ab wahan aapko apna number daal ke Otp verify karna hoga. Verify karne ke baad aapka app me Dashboard open ho jayega aur aap asaani se apna data balance dekh payenge saamne validity ke sath.



Aise karna hai aapko apna IDEA ka data balance check ussd code aur IDEA app ke zariye.









Airtel ka Data Balance kaise check kare
Badhte hain apne agle operator ki taraf aur jannte hain ki Airtel ka Data Balance kaise check karte hain. Isme be dosto aap do tariko se data balance check kar sakte ho. Chaliye dekha jaye ab ki kaise Airtel me Data mb ussd code aur App ke zariye dekha jayega.



Ussd Code se Airtel me data balance check kare: Aapko same apna dialer pad open karna hai phone me aur ek code dial karna hai. Airtel ka data mb check karne ka code hai ... Jaise he aap code dalenge aapka mb gb jo bhi data bacha hoga show ho jayega.



App se Airtel ka Data Balance check Kare: Aapko Playstore me Jaa ke ya link par click karke My Airtel App Download karna hai. App Download hone ke baad aapko apna number enter karna hai aur Otp ke zaiye verify kar lena hai. Dosto aapke app ke homepage par apke active pack ki details bata dega jaise data balance, validity etc.











Bsnl ka Data Balance kaise check kare
Chaliye dekhte hain next operator ko jiska naam hai bsnl. Dosto aapko bata dein ki Bsnl me aap sirf ussd code dial karke data balance ka pata laga sakte ho. Aur bsnl ka data mb check karne wala code hai  ... Ya toh aap apne bsnl ke number se ... number dial kare aur customer care se baat karke data balance ka bhi pata laga sakte hain. Dhanyawad dosto inhi do tariko se aap bsnl me data check kar sakte hain.







Jio ka Data Balance kaise check kare
Ab aate hain apne main operator ki aur jo pure bharat me bahut zyada use kiya jaa raha hai. Veh hai Jio. Aur Jio me Data balance check kaise karna hai? Kon kon se tariko se aap data balance check kar sakte hain. Hum aapko sara batayenge. Toh aapko bata dein ki Jio me bhi aap App ki madad se aur customer care phone karke data balance check kar sakte hain.
App se Jio Ka Data Balance check kare: Agar aapko apne phone me Jio ka Data balance kitna bacha hai voh janna hai toh aapko Playstore me jaa ke My Jio App Download karna hoga. Download karne ke baad apko apna number daalna hoga jisay veh auto verify kar dega agar sim bhi phone me hui toh. Fir last me aapka dashboard open ho jayega vaha aapka data balance show kar dega ki daily ka kitna mb bacha hua hai.

Customer care se Jio Data Balance Check karna hai toh aapko 199 par apne Jio sim se call karna hoga aur aage apna jo bhi problem hoga uss related number dial karna hai aur aapka call Jio ke customer care ko lag jayega. Aap unhe puchenge ki aapka data balance kitna bacha hai veh bata denge aapko.



THE END
Toh Bhaiyo aur Behno aise kiya jata hai alag alag operators ka data balance check. Aapko hamara article “Kisi bhi Sim ka Data Balance kaise Check kare” kaisa laga comment me jarur bataye.

Toh yahi tha hamare paas aaj ka post aapke liye. Apni koi rai dena chahte ho toh aap contact form ya email ke dwara de sakte ho.

Chaliye dosto chalte hai fir milenge. Tab tak ke liye apni sehat ka khayal rakhein. Have a Good Day!

Comments

Recent Posts

Twitter ke Videos Download Kaise Kare in Hindi?

Twitter ke Videos Download Kaise Kare? Twitter kon kon chalata hai. Well i guess ki aap sab log chalate honge tabhi toh aaj aap hamare iss post mein aye hain. Toh jaisa ki aap logo ne title padh he liya hoga Twitter ke Videos kaise Download Kare. Aur main aapko detail mein Twitter se videos ko Download kaise karna hai sikhaunga mera matlab hai ki Mobile me, Pc me Twitter Videos ko kaise Download kar sakte hain. Mobile me Android, Iphone me aur Pc me Laptop aur Computer me Twitter se videos ko Download karna sikhana mera aaj ka kaam hai aap logo ke liye toh chaliye dekh lete hain zra Kaise Kare Hindi mein ke iss post ko. Article ko start karne se pehle thoda bata dete hain ki Aapko Twitter se videos kyu Download karni hain aur kya kya savdhani baratni chaiye Videos Download karne ke baad. Toh dosto aapko Twitter ke Videos Download karne ki Zarurat yahi hogi ki aap us video ko baar baar dekhna chahte hain apni Phone Gallery mein save kar ke. Dosto aapko bata dein ki Dusro ki

Jio Customer Care se Baat Karne ke liye Number

Jio Customer Care se Baat Karne ke liye Number Hello and Swagat hai My dear friends ka aur My Dear Brothers and Sisters kaise ho aap sab? Comment mein apna haal chal share karein. Jio kitna bada brand ban gaya hai 2017 se. Itna bada ki jald he pure market mein tahalka machayega kuch saalo mein. Aaj hum aapki ek problem ka solution lekar aye hain jo hai ki Jio Customer Care se Baat Karne ke Liye Number. Jaise ki Hamare post mein bahut kuch related information cover ki jaati hai jiss tarah ka article hota hai usi ke related puri info ke sath aapko bataya jata hai vo bhi Kaise Kare Hindi mein. Actually yeh hamare blog ka Naam bhi hai toh isi bahane thodi si promotion.  Toh aaj bhi hamare article mein start kiya jayega Jio Customer Care ke baare mein jankari se aur fir aapko sikhayenge ki Sim, Jio Phone, JioFiber, Jiofi se related questions ke jawab pane ke liye customer care se kaise aur kahan baat kare aur Jio Money se related queries ko janne ke liye customer care se kaise ba

Facebook Account Hack Kaise Kare in Hindi

Facebook Account Hack Kaise Kare in Hindi Dosto aaj ka topic bahut he khaas aur favourite hone wala hai kyuki aaj hum baat karenge hamara pyara sabka dulara facebook ke baare mein. Facebook hack karne liye kitne log janna chahte hain. I am sure ki yaha jitne bhi iss post ko padh rahe hain vo sab kisi na kisi ki facebook ko hack karna chahte hain. Toh chaliye fir aaj hum aapko sikha he dete hain ki Facebook Account Hack Kaise Kare in Hindi me.  Facebook account hack karne ke bare mein toh hum aapko sikhayenge he vo toh obvious si baat bhi hai magar sath he sath hum aapko kuch aur pehle batayenge jaise Facebook hack ke baare mein jankari, Facebook Hack kyu karna hai, kya facebook hack ho sakta hai? Yeh sab bata ke hum aapko facebook hack karna batayenge. Shuru karne se pehle aapko batana chahte hain ki facebook hack karte waqt aapko pareshaaniyo ka samna karna pad sakta hai toh koi bhi illegal facebook account hack na kare aur aapko sabhi steps ko one by one deyan se follow kar