Skip to main content

Online Bank Account Kaise Khole?

Online Bank Account Kaise Khole?

Online Bank Account Kaise Khole?

Bank Account se related queries mein aapka swagat hai aur aaj hum aapko batane wale hain ki Online Bank Account kaise khole ya Online Bank Khata kaise Khole. Agar aap ne ab tak apna Bank account nahi open kiya hai toh aap bhi hamare iss article ko padh bahut he asaani se Apna Online bank khata open kar sakte hain. Sath he hum janenge ki Online Bank Account khu Kholna hai, Online Bank account kholne ke Fayde aur Nuksaan, Kotak 811 aur Axis Bank jaise Online Account kaise Kholte hain aur ant me iss post ka The End karenge.


Online Bank Account kyu kholna hai?

Dosto pehle toh yeh jante hain ki aakhir aapko Online Bank Account Kyu kholna hai? Toh iska jawab me yu dunga ki aapko ek extra bank account ki jarurat pad gayi aur aapke pass itna time nahi hai ki aap bank jaye aur aapka time waste ho. Iss case me aap Online bank account kholna chahenge jo aap turant baad usay use be kar sakte ho. Ya toh aapke pass koi bank account nahi hai toh aapne kahi se suna ki Online Bank account khola jaa sakta hai toh aap Online bank account kholna chahenge. Account bank Account kholne ke fayde be hai jissay aap apna account online kholna chahenge. Toh yeh thoda brief me tha ki aapko Online Bank Account Kyu kholna hai. Chaliye ab Online Bank Khata kholne ke Fayde aur nuksaan bata dete hain.


Online Bank Account kholne ke Fayde aur Nuksan?

Jahan kisi cheez ke Fayde hote hain vahi usi cheez ke kuch nuksaan bhi honge toh isi baat ko deyan me rakhte hue hum aapse discuss karenge ki Online Bank Account Kholne ke Fayde aur Nuksaan kya kya hain. Chaliye ab dekh lete hain:

  • Fayde: Dosto agar aap ek online bank account open karte ho toh aapko issay bahut fayde milte hain jaise ki sabe pehla aur sabse bada fayda ki isme aapke Time barbaad nahi hota agar hum compare kare Bank me jaa ke khata khulwane ki. Dusra Fayda yeh hai ki aapko isme koi paper work ki zarurat nahi padti. Aapko apne sath zyada documents nahi lene padte isme bus aapko Aadhaar + Pan + Mobile number ke sath apka kam bann jata hai. I hope ki itne fayde kafi honge aapko Online Bank account khulwane ke liye. Ek aur fayda hai ki isme aapko Internet Banking open karne ke liye bhi bank nahi jana padta. Aapko ghar baithe he login access mil jata hai.

  • Nuksaan: Dosto iske jitne fayde hain aap usi se santusht honge i guess. Par aapko iske nuksaan bhi bata dein. Zyada kuch khaas nuksaan toh nahi hain par fir be dekh lete hain. Pehla nuksaan yeh hai ki jaise aap Online Kotak 811 ka Account kholte hain toh voh kehte hain ki RBI ki guidelines ke according apko 1 sal ke ander Kotak bank me visit karna he padega varna aapka 1 sal ke baad account band kar diya jayega. 1 baar toh aap apna Fingerprint dene ke liye toh 1 sal me jaa he sakte ho. Isme aapko limit be kam di jati hai thodi yeh ek dusra drawback hai. Bus yahi hai iske kuch nuksaan par yeh toh chalte hain isme aapko koi ghabrane ki zarurat nahi honi chahiye.


Online Bank Account Kaise Khole?

Chaliye ab aata hai hamara mukhya topic aur isme hum aapko Idea dete hain ki aapko Online Bank Account kaise Kholna hai? Aapko Online Bank account kholne ke liye karna kya hota hai jaise jo be bank Online Account open karna support karta hai uss website par jaye aur apne sath Aadhaar + Mobile + PAN rakh lein. Fir uss website me aapko open account par jana hota hai. Vahan aapko registration karna hai apna name, address, mobile number, email, Pan Card Number aur last me Adhaar card dal ke OTP verify karna hota hai. Bus aapka account 5 minute me ready ho jayega.


Kotak, Axis Bank me Online Account Kaise Open kare?

Aapko bata dein ki Hamare India me do aise Popular banks hain jo hamein Online Bank account kholne ki suvidha dete hain aur vo hain Kotak bank aur Axis Bank. Ab hum aaokoAap niche step by step janenge ki Aap Kotak, Axis Bank me  online account kaise kholenge:

  • Agar aap Kotak bank me online account kholna chahte hain toh niche Kotak 811 Ke link ko open kare.
  • Agar aap Axis bank me account kholna chahte hain toh Axis Asap link par click kare.
  • Open account par click kare.
  • Aapko form milega toh vahan apni details bhare jaise apna naam, Aadhaar card wala Address, Pan Card, email, mobile number, Gender, Indian citizen select etc..
  • Last me aapko Aadhaar card wale registered mobile number par OTP bheja jayega aur Otp dalke verify kare. Deyan rahe ki mobile number be form me Aadhaar card vala he dale.
  • Apka bank account 5 min. me open ho jayega.

Open Kotak 811 Account

Open Axis Asap Account


Toh bhaiyo aur behno aise khola jata hai Kotak 811 aur Axis Asap jaise Online bank accounts. Toh isi ke sath hamara yeh article khatam hota hai. Agar apko Online bank account kholne me koi problem aati hai toh aap comment karke puch sakte hain.


The End

Ab baari hai aapse sunne ki apko hamare blog me koi kami dikhi ho toh aur agar nahi bhi dikhi toh hamein comment karke batayein ki apko yeh post “Online Bank Account Kaise Khole” kitna acha laga.

Dosto chaliye ab chalte hain. Aap apni koi rai dena chahte hain toh aap humse contact form ya email ke dwara contact kar sakte hain. Chaliye chalte hain fir milenge.

Comments

Recent Posts

Twitter ke Videos Download Kaise Kare in Hindi?

Twitter ke Videos Download Kaise Kare? Twitter kon kon chalata hai. Well i guess ki aap sab log chalate honge tabhi toh aaj aap hamare iss post mein aye hain. Toh jaisa ki aap logo ne title padh he liya hoga Twitter ke Videos kaise Download Kare. Aur main aapko detail mein Twitter se videos ko Download kaise karna hai sikhaunga mera matlab hai ki Mobile me, Pc me Twitter Videos ko kaise Download kar sakte hain. Mobile me Android, Iphone me aur Pc me Laptop aur Computer me Twitter se videos ko Download karna sikhana mera aaj ka kaam hai aap logo ke liye toh chaliye dekh lete hain zra Kaise Kare Hindi mein ke iss post ko. Article ko start karne se pehle thoda bata dete hain ki Aapko Twitter se videos kyu Download karni hain aur kya kya savdhani baratni chaiye Videos Download karne ke baad. Toh dosto aapko Twitter ke Videos Download karne ki Zarurat yahi hogi ki aap us video ko baar baar dekhna chahte hain apni Phone Gallery mein save kar ke. Dosto aapko bata dein ki Dusro ki

Jio Customer Care se Baat Karne ke liye Number

Jio Customer Care se Baat Karne ke liye Number Hello and Swagat hai My dear friends ka aur My Dear Brothers and Sisters kaise ho aap sab? Comment mein apna haal chal share karein. Jio kitna bada brand ban gaya hai 2017 se. Itna bada ki jald he pure market mein tahalka machayega kuch saalo mein. Aaj hum aapki ek problem ka solution lekar aye hain jo hai ki Jio Customer Care se Baat Karne ke Liye Number. Jaise ki Hamare post mein bahut kuch related information cover ki jaati hai jiss tarah ka article hota hai usi ke related puri info ke sath aapko bataya jata hai vo bhi Kaise Kare Hindi mein. Actually yeh hamare blog ka Naam bhi hai toh isi bahane thodi si promotion.  Toh aaj bhi hamare article mein start kiya jayega Jio Customer Care ke baare mein jankari se aur fir aapko sikhayenge ki Sim, Jio Phone, JioFiber, Jiofi se related questions ke jawab pane ke liye customer care se kaise aur kahan baat kare aur Jio Money se related queries ko janne ke liye customer care se kaise ba

Facebook Account Hack Kaise Kare in Hindi

Facebook Account Hack Kaise Kare in Hindi Dosto aaj ka topic bahut he khaas aur favourite hone wala hai kyuki aaj hum baat karenge hamara pyara sabka dulara facebook ke baare mein. Facebook hack karne liye kitne log janna chahte hain. I am sure ki yaha jitne bhi iss post ko padh rahe hain vo sab kisi na kisi ki facebook ko hack karna chahte hain. Toh chaliye fir aaj hum aapko sikha he dete hain ki Facebook Account Hack Kaise Kare in Hindi me.  Facebook account hack karne ke bare mein toh hum aapko sikhayenge he vo toh obvious si baat bhi hai magar sath he sath hum aapko kuch aur pehle batayenge jaise Facebook hack ke baare mein jankari, Facebook Hack kyu karna hai, kya facebook hack ho sakta hai? Yeh sab bata ke hum aapko facebook hack karna batayenge. Shuru karne se pehle aapko batana chahte hain ki facebook hack karte waqt aapko pareshaaniyo ka samna karna pad sakta hai toh koi bhi illegal facebook account hack na kare aur aapko sabhi steps ko one by one deyan se follow kar