Skip to main content

Airtel Free me Caller Tune kaise Activate Deactivate kaise kare

Airtel Free me Caller Tune kaise Activate Deactivate kaise kare

Toh pyare Bhaiyo aur Behno kya hal chal hain aapke? Aasha karte hain ki sab bahiya honge. Aaj hum bina bakwas kiye apna article shuru karne wale hain aur aapko batane wale hain ki Airtel Free me Caller Tune Activate aur Deactivate Kaise Kare? Aapko jankaari ke liye bata dein ki Callertune ya Hello Tune ya Airtel Tune jo be bole Airtel uske Paise leta hai aapse. Isiliye hum aapko aaj Airtel ki taraf se Free Hello Tune Activate karna batayenge jo aapme se bahut se logo ko nahi pata. Chaliye ab kuch jankari ke sath post shuru kiya jaye.


Caller Tune kya hoti hai?

Caller Tune jaisa ki Humne kal ke lecture me aapko Jio wale post mein bhi bataya tha ki Caller Tune veh tune hoti hai jab koi aapko phone kare toh ring ki jagah apki set ki hui tone sunayi de toh vo hoti hai Caller Tune, Hello Tune etc jo be bole isko.


Kya Airtel Me Caller Tune Free Hai?

Iska Jawab hum dena chahte hai aapko Haan. Agar aapka Plan 199 se upar wala Unlimited Plan Activate hai Airtel mein toh free hai. Magar logo ko yeh be nahi pata aur Airtel isi cheez ka Faida uthata hai. Plan hone ke bawjood be Airtel unse paise leta hai Hello Tune rakhne ke kyuki logo ko nahi pata ki Vo service free hai. Jin logo ko nahi pata toh vo kya karte hain 30 Rs per month de dete hain Inn choro ko jo nahi karna hai aapko. Chaliye fir aage badhte hain aur jaante hain Ki Free me Airtel me Callertune kaise Activate kare aur fir uske agle paragraph mein jaanenge ki Airtel me Caller Tune Deactivate kaise karenge.


Airtel Free me Hello Tune kaise Activate kare?

Chaliye ab apne mukhya jankari ki taraf aate hain aur jaante hain ki kis Tarike se Airtel me Free Caller Tune Activate karni hai. Aapko hum step by step batayenge toh aap deyan se follow kare:


  1. Sabse pehle aapko Airtel wynk Music app Play Store Say Download karna hai.

  2. Download hone baad Wynk Music app Khole.

  3. Apni language Hindi Select kare. Next click kare.

  4. Ab aapko Top right side pe chota sa Hello Tune ka Symbol Dikhega usko dabaye. Voice recoder ke aage wala symbol.

  5. Search Hello Tune karke apne Song search kare.

  6. Song ko open kare.

  7. Hellotune ka blue color ka symbol hoga usay dabaye.

  8. Ab niche Activate for Free ko click kare aur bus.


Aapki Hello Tune usi Time Free me Apke Airtel No par activate ho jayegi. Ashaa karte hain ki aapko samajh aa gaya hoga ki kaise Free me Hello Tune Activate karni hai aur issay aapke paise be bach gaye honge. :D



Airtel me Caller Tune Deactivate kaise kare?

Ab yeh hamara last main paragraph hone wala hai iss article ka aur aapko bta dein ko Caller Tune Deactivate karne ka tarika bahut he asaan sa hai. Aapko bus step by step follow karna hai hamein aur aap Airtel ki caller Tune asaani se Deactivate kar payenge. Waise Deactivate karne se acha hai aap Caller Tune Change kar lein vo option acha rahega. Khair yeh rahe deactivate karne ke steps:


  • Sabse pehle firse apne Wynk Music app mein aa jaye.

  • Sabse niche Right side aapko Settings ka option milega jisme My account likha hoga. Uspe jaye.

  • Ab niche jaa ke dekhe aapko Manage Hellotune Dikhega. Uspe click kare.

  • Aapko aapka Hello Tune song mil jayega. Side teen dots par click karke Stop Hello Tune par click kare aur aapki Hello Tune Deactivate ya band ho jayegi.


Iss tarike se aapko apne Airtel no par Hello Tune ya Caller tune jo be Bole vo deactivate karni hai. Asha hai ki yeh method aapko pasand aya hoga.


The End

Toh Dosto yahin tak tha hamara aaj ka post "Airtel Free me Caller Tune kaise Activate Deactivate kaise kare".


Aapko hamara post kitna pasand aya ya nahi aya yeh hamein comment karke zarur batayein.


Koi pareshani aa rahi ho toh hamein contact form ya email karke bataye. Hamein aapki madad karke khushi hogi. Chaiye chalte hain fir milenge.

Comments

Recent Posts

Jio Customer Care se Baat Karne ke liye Number

Jio Customer Care se Baat Karne ke liye Number Hello and Swagat hai My dear friends ka aur My Dear Brothers and Sisters kaise ho aap sab? Comment mein apna haal chal share karein. Jio kitna bada brand ban gaya hai 2017 se. Itna bada ki jald he pure market mein tahalka machayega kuch saalo mein. Aaj hum aapki ek problem ka solution lekar aye hain jo hai ki Jio Customer Care se Baat Karne ke Liye Number. Jaise ki Hamare post mein bahut kuch related information cover ki jaati hai jiss tarah ka article hota hai usi ke related puri info ke sath aapko bataya jata hai vo bhi Kaise Kare Hindi mein. Actually yeh hamare blog ka Naam bhi hai toh isi bahane thodi si promotion.  Toh aaj bhi hamare article mein start kiya jayega Jio Customer Care ke baare mein jankari se aur fir aapko sikhayenge ki Sim, Jio Phone, JioFiber, Jiofi se related questions ke jawab pane ke liye customer care se kaise aur kahan baat kare aur Jio Money se related queries ko janne ke liye customer care se kaise ba

Sacred Games Web Series Download Kaise Kare

Sacred Games Web Series Download Kaise Kare Web series ke ek aur new blog post mein aapka beshumaar swagat karte hain hum aur dosto kaise ho sab. Hope all good. Toh aaj ke iss post mein hum log aapse baat karenge ki Sacred Games Web Series Download Kaise Kare. Bane rahiye hamare sath aur padhte rahein hamara post antim charan tak. Post hamari sabse pehle start hogi Sacred Games ke Baare me kuch basic jankari se, uske baad hum aapko batayenge Sacred Games ki Release Date, fir jaa ke hum batayenge Sacred Games Download Karne ka Tarika.  Fir dosto ant mein hum Last words ke sath iss pure article ko smapt karenge. Chalo fir aaj ka post shuru kiya jaye Sacred Games ke Baare me Jankari ke sath. Sacred Game ke baare me Jankari Sacred Game Netflix dwara dikhaya jane wala hamare India ka bahut he bada Web Show hai jiske main star cast hain Nwazuddin Siddique. Nwazuddin ko toh aap jante he honge inki acting ki wajah se. Kya kamal se superb actor hain jinke croro mein fans bann chu

Whatsapp Account Hack Kaise Kare in Hindi

Whatsapp Account Hack Kaise Kare in Hindi Kaise ho hamare pyare aur dulare bhai behno. Sab bhale hone chahiye. Hacking kon nahi karna chahta for vo chahe mobile phone ho ya ladki ka dil. Sab apni apni jagah kuch na kuch hack karna chahte hain. Aaj ka post isi baare mein hone jaa raha hai jisme aap janoge ki Whatsapp Account Hack Kaise Kare in Hindi. Toh aap mein se kon kon excited hai aaj ka post padhne ke liye. Hands up. I am sure ki bahut log honge. Jaisa ki aap jaante hain ki hamare blog mein tech, Movies, Softwares ke baare mein bataya jaata hai toh agar aap kuch padna chahte hain toh hamare blog mein jaa ke search kar sakte hain. Jaise ki aaj ka post hamare series mein hone wala hai waise toh hum har post isi tarah se karte hain toh aaj ka post bhi waisa he hoga. Series jaise ki start karenge hum aaj ka post Whatsapp hack karne ke baare me jankari se, fir Janenge Whatsapp Hack Kyu karna hai, Kya whatsapp hack ho sakta hai. Aur ant mein hum aapko main topic yaani ki Wh