Skip to main content

IndusInd Bank ka Account Balance Check kaise kare

IndusInd Bank ka Account Balance Check kaise kare

Hello and Welcome. Aaj hum aapko again Bank ka Account Balance Check karna sikhayenge kyuki abhi hum Maximum banks ka account balance check karna sikhenge. Aaj ka topic hai hamara IndusInd Bank ka Account Balance Check Kaise Kare. Bahut se log nahi jante hain ki Account balance kaise check kare aur aaj hum aapko 3-4 tarike batayenge jinse aap apne bank ka Account Balance check kar payenge. Chaliye fir jankari lena shuru karte hain.


IndusInd Bank ke baare me Jankari

IndusInd Bank hamare Bharat ke bade bade banks mein ek hai. Yeh ek Mumbai based bank hai jo all over India mein iski Branches hain. Yeh ek Private Bank hai jo ki Govt bilkul bhi nahi. Baaki banks ki tarah yeh bhi aapko full banking facility deta hai. Iski sabse khaas baat yeh hai ki yeh aapko apke pasand ka account number aur Atm no. Provide karta hai magar yeh uss account mein limit be zyada mangta hai. Account khulne ke ek do din mein aapka sabhi cheezein mil jaati hain.


IndusInd Bank me Account Kaise Khole?

IndusInd Bank aapko do tarah ke option deta hai savings account kholne ke. Ek online aur Dusra Bank me jaa ke. Online Account aap 5 minute mein khol logey aur vo hum aapko recommend karte hain varna aapko bank mein jaa ke apna time waste karna padega aur fir aapko account khulega. Chaliye ab dekhte hain kaise Account khulenge.


0 Balance IndusInd Online Account Kaise Khole

Dosto 0 balance account Digital hota hai aur aapko bank ki website Online Savings Account par jana hai aur aapkp vahan apni details dalni hai sath mein Aadhaar kyc aur Pan card chaiye. Form fill kariye aur aapka account 5 minute mein open ho jayega. Fir iske baad aap Indus Mobile app Playstore se Download kar lein aur vahan par apna khata access kar sakte hain.

Baat kare ki normal savings account kaise khole IndusInd bank ka toh aapko iske liye apne nazdiki IndusInd Bank mein jana. Yeh link se aap apne pass ke banks dekh sakte ho aur kisi branch main chale jaye. Wahan aapko form diya jayega aur aapko vo pura fill karke apne documents attach karne hain. Bus aapko usi din ya agle din aapka Atm, Passbook etc mil jayega aur aapka account khul jayega.


IndusInd Bank ka Account Balance Check kaise kare

Balance check karne ke liye hamare pass 5 method hain. Wo sab detail main humne niche diye hue hain.

  • Atm se Account balance check kare: Atm se aapko apne IndusInd bank ka balance check karna bahut he asaan aur pehla tarika hai. Aapko isme bus apne Atm ko lekar jana hai aur swipe karna hai. Aage instructions follow kare aapko Banking > Balance Enquiry > Slip yes kare aur aapka balance slip mein aur samne screen par show ho jayega. Atm nahi hai toh aap niche wale tarike follow kare.
  • SMS ke zariye IndusInd ka balance check kare: Yeh hai Dusra tarika aur iss method mein aapka mobile number jo bank se registered ho ussay aapko msg karna hai aur bhej dena hai. Aapko balance check karne ke liye apne phone ae dial karna hai 18002741000 aur miss call karni hai. Turant baad aapko sms ke zariye aapka balance bhej diya jayega.
  • Net Banking se Balance check kare: Is method mein aapko Internet banking ya Mobile banking Indus Ind ki login details honi chahiye. Wo aap bank mein jaa ke le sakte hain. Yaa toh aap online Internet banking register kar sakte hain IndusInd bank ki. Online register karne ke baad aap Mobile banking ko register kar sakte hain Net banking se. Ok toh login karne ke baad aapko dashboard mein samne balance show ho jayega aapka nahi toh accounts > account summary mein balance check kar sakte hain apna.
  • Customer Care se Balance check karna sikhe: Yeh 4th aur sabse simple tarika hai apna balance check karne ka. Bus ek number milao aur unhe keh kar apna balance pata laga lo. Toh customer care ka number hai IndusInd bank ka:

1800 500 5004

  • UPI se Balance check kare: Ek aur 5th way hai jo internet banking se bhi zyada chal raha hai aaj kal voh hai UPI. Upi ka account banane ke liye apko mobile number registered chahiye aur Atm card. Register karne ke liye aap Google ki app Google pay ko use kar sakte hain aur Register hone ke baad apna account par jaye aur Check balance par kare aur UPI pin daal ke apka balance aapko show kar dega.

The END

Chalo fir aaj ke post "IndusInd Bank ka Account Balance Check kaise kare" mein hamare pass itna he tha. Ashaa karte hain ki kuch shuta na ho.

Agar aapko post acha laga toh hamein comment karke bataye ki kyu aapko acha laga aur agar aapko acha nahi laga toh bhi bataye ki aapko kyu nahi laga acha.

Waqt ho chuka hai ab chalne ka fir milenge. Tab tak ke liye apni sehat ka khayal karein. Have a Good Day!

Comments

Recent Posts

Jio Customer Care se Baat Karne ke liye Number

Jio Customer Care se Baat Karne ke liye Number Hello and Swagat hai My dear friends ka aur My Dear Brothers and Sisters kaise ho aap sab? Comment mein apna haal chal share karein. Jio kitna bada brand ban gaya hai 2017 se. Itna bada ki jald he pure market mein tahalka machayega kuch saalo mein. Aaj hum aapki ek problem ka solution lekar aye hain jo hai ki Jio Customer Care se Baat Karne ke Liye Number. Jaise ki Hamare post mein bahut kuch related information cover ki jaati hai jiss tarah ka article hota hai usi ke related puri info ke sath aapko bataya jata hai vo bhi Kaise Kare Hindi mein. Actually yeh hamare blog ka Naam bhi hai toh isi bahane thodi si promotion.  Toh aaj bhi hamare article mein start kiya jayega Jio Customer Care ke baare mein jankari se aur fir aapko sikhayenge ki Sim, Jio Phone, JioFiber, Jiofi se related questions ke jawab pane ke liye customer care se kaise aur kahan baat kare aur Jio Money se related queries ko janne ke liye customer care se kaise ba

Sacred Games Web Series Download Kaise Kare

Sacred Games Web Series Download Kaise Kare Web series ke ek aur new blog post mein aapka beshumaar swagat karte hain hum aur dosto kaise ho sab. Hope all good. Toh aaj ke iss post mein hum log aapse baat karenge ki Sacred Games Web Series Download Kaise Kare. Bane rahiye hamare sath aur padhte rahein hamara post antim charan tak. Post hamari sabse pehle start hogi Sacred Games ke Baare me kuch basic jankari se, uske baad hum aapko batayenge Sacred Games ki Release Date, fir jaa ke hum batayenge Sacred Games Download Karne ka Tarika.  Fir dosto ant mein hum Last words ke sath iss pure article ko smapt karenge. Chalo fir aaj ka post shuru kiya jaye Sacred Games ke Baare me Jankari ke sath. Sacred Game ke baare me Jankari Sacred Game Netflix dwara dikhaya jane wala hamare India ka bahut he bada Web Show hai jiske main star cast hain Nwazuddin Siddique. Nwazuddin ko toh aap jante he honge inki acting ki wajah se. Kya kamal se superb actor hain jinke croro mein fans bann chu

Whatsapp Account Hack Kaise Kare in Hindi

Whatsapp Account Hack Kaise Kare in Hindi Kaise ho hamare pyare aur dulare bhai behno. Sab bhale hone chahiye. Hacking kon nahi karna chahta for vo chahe mobile phone ho ya ladki ka dil. Sab apni apni jagah kuch na kuch hack karna chahte hain. Aaj ka post isi baare mein hone jaa raha hai jisme aap janoge ki Whatsapp Account Hack Kaise Kare in Hindi. Toh aap mein se kon kon excited hai aaj ka post padhne ke liye. Hands up. I am sure ki bahut log honge. Jaisa ki aap jaante hain ki hamare blog mein tech, Movies, Softwares ke baare mein bataya jaata hai toh agar aap kuch padna chahte hain toh hamare blog mein jaa ke search kar sakte hain. Jaise ki aaj ka post hamare series mein hone wala hai waise toh hum har post isi tarah se karte hain toh aaj ka post bhi waisa he hoga. Series jaise ki start karenge hum aaj ka post Whatsapp hack karne ke baare me jankari se, fir Janenge Whatsapp Hack Kyu karna hai, Kya whatsapp hack ho sakta hai. Aur ant mein hum aapko main topic yaani ki Wh