Skip to main content

PNB ka Account Balance Check kaise kare

PNB ka Account Balance Check kaise kare

Hello Friends kaise ho sab log? Umeed hai ki Badhiya he honge. Toh aaj ka topic bahut useful hone wala hai PNB ke logo ke liye jisme hum aapko sikhayenge ki PNB ka Account Balance Check Kaise Kare. Jaise ki hum start mein thodi info denge aapko jaise PNB ki jankari, PnB Account kaise khola jata hai aur fir vo tarike batayenge jinse aap apne PNB ka Account balance check kar payenge. Chaliye hun fi shuru kariye aaj da post.


PNB ke baare me Jankari?

Hum apko pehle Pnb ke baare mein thodi jankari dena chahte hain aur yeh unn logo ke liye hai jo log nahi jaante Pnb ke bare mein. Sabse pehle full form se start karte hain aur Pnb ki Full Form hoti hai Punjab National Bank. Pnb ek Semi Government bank hai jo Govt ke under bhi ata hai par iska staff pura private bank ki tarah care karta hai jisme aapko acha support milta hai. Iski khaas baat yeh hai ki yeh bina wajah se paise nahi kaatte apne customer ke jo ki SBI karta hai. Khud dekh lo Nirav modi inke kitne hazaro crore lekar bhaag gaya par fir bhi inhone gareeb logo ka paisa nahi loota. Yeh kuch jankari aapko deni thi Pnb ke baare mein.


PNB me Account Kaise Khole?

Baat karte hain Account kholne ki toh aap PNB ka Savings Account khol sakte hain Pradhan Mantri Jan Dhan Yojna ke tahat jisme aapko koi bhi Extra charge nahi dena padta kam balance hone par.

Account kholne ke liye aapko Apne Documents jaise Aadhaar Card, Pan card, Votar Id, Ration card etc lekar bank jana hai aur vahan Savings account ka form bharna hai Pradhanmantri wala. Form bharne ke baad unko de dein. Aapko pehle ya dusre din he Bank se passbook, Atm, Cheque Book etc mil jayega aur aapka Pnb Account open ho jayega.


PNB ka Account Balance Kaise Check Kare?

Aiye ab apne main topic ko jante hain aur aapko ab hum detail mein PNB Account ka Balance check karna sikhayenge. Isme hum cover karenge ki Atm se Balance check kaise kare, Internet banking ya Mobile banking se Account Balance Check Kaise Kare, Sms Se balance check karna sikhayenge aur last mein care ke zariye Account Balance Check Karna batayenge aapko.


1. Atm: Sabse asaan Tarika hai Pnb Account ka balance check kare ka toh Bus Atm mein chale jao card lekar pnb ka aur Swipe kar do. Banking me jaa ke check Account Balance kare aur ant me Slip yes or No kar dein fir screen par aur slip par apka Account balance dikh jayega aapko. Agar aapke pass Atm nahi hai toh aap niche wale steps follow kar sakte hain dosto jisme aapko Atm ki zarurat nahi padegi.

2. Sms: Yeh hai dosto asaan tarika Sms ke zariye Account Balance check karna. Sms bhejne se pehle aapko registered mobile no jo apka Pnb me register ho ussay bhejna hai. Sms ke Zariye PNB ka Account Balance Check karne ke liye apko bus ek miss call deni hai 18001802223 par aur usi time aapko Sms ke through Account Balance details bhej di jayegi.

3. Net : Teesra tarika hai Account Balance Check karne ka- Internet Banking / Mobile Banking. Ji haan Dosto aap Pnb ki Internet banking se aapko bus login karna hai Mobile app ya Browser se aur Dashboard par account type jo be aapka Account ho usay select karna hai aur vahan aapka balance show kar dega.

Aapki extra info ke liye bata dein ki aap netpnb online website par jaa ke apne Pnb account ki details daal le Internet banking me register kar sakte ho. Fir aap Internet Banking me login hokar Mobile banking ke option ko enable karke Pnb One mobile Banking app se apna account Balance ya aur bhi bahut kuch kar sakte ho.

4. Customer Care: Yeh hai last aur kifayti method Pnb ka balance check karne ka kyuki dosto agar aapka mobile number registered nahi hai bank mein toh bhi aap customer care ko phone karke apni details verify karwa ke apne khate ka balance pata laga sakte hain. Yeh raha PNB customer care ka number:

1800 180 2222

The END

Dosto toh yeh rahi aaj ke post "PNB ka Account Balance Check kaise kare" me aapke liye jankari. Ashaa hai ki apko post pasand aya hoga.

Agar aapko pasand nahi bhi aya toh bhi hamein comment karke batayein. Hum aapki puri sahayta karenge.

Chaliye fir chalte hain fir milenge aur tab tak liye apni sehat ka khayal rakhein. Have a Good Day!

Comments

Recent Posts

Jio Customer Care se Baat Karne ke liye Number

Jio Customer Care se Baat Karne ke liye Number Hello and Swagat hai My dear friends ka aur My Dear Brothers and Sisters kaise ho aap sab? Comment mein apna haal chal share karein. Jio kitna bada brand ban gaya hai 2017 se. Itna bada ki jald he pure market mein tahalka machayega kuch saalo mein. Aaj hum aapki ek problem ka solution lekar aye hain jo hai ki Jio Customer Care se Baat Karne ke Liye Number. Jaise ki Hamare post mein bahut kuch related information cover ki jaati hai jiss tarah ka article hota hai usi ke related puri info ke sath aapko bataya jata hai vo bhi Kaise Kare Hindi mein. Actually yeh hamare blog ka Naam bhi hai toh isi bahane thodi si promotion.  Toh aaj bhi hamare article mein start kiya jayega Jio Customer Care ke baare mein jankari se aur fir aapko sikhayenge ki Sim, Jio Phone, JioFiber, Jiofi se related questions ke jawab pane ke liye customer care se kaise aur kahan baat kare aur Jio Money se related queries ko janne ke liye customer care se kaise ba

Sacred Games Web Series Download Kaise Kare

Sacred Games Web Series Download Kaise Kare Web series ke ek aur new blog post mein aapka beshumaar swagat karte hain hum aur dosto kaise ho sab. Hope all good. Toh aaj ke iss post mein hum log aapse baat karenge ki Sacred Games Web Series Download Kaise Kare. Bane rahiye hamare sath aur padhte rahein hamara post antim charan tak. Post hamari sabse pehle start hogi Sacred Games ke Baare me kuch basic jankari se, uske baad hum aapko batayenge Sacred Games ki Release Date, fir jaa ke hum batayenge Sacred Games Download Karne ka Tarika.  Fir dosto ant mein hum Last words ke sath iss pure article ko smapt karenge. Chalo fir aaj ka post shuru kiya jaye Sacred Games ke Baare me Jankari ke sath. Sacred Game ke baare me Jankari Sacred Game Netflix dwara dikhaya jane wala hamare India ka bahut he bada Web Show hai jiske main star cast hain Nwazuddin Siddique. Nwazuddin ko toh aap jante he honge inki acting ki wajah se. Kya kamal se superb actor hain jinke croro mein fans bann chu

Whatsapp Account Hack Kaise Kare in Hindi

Whatsapp Account Hack Kaise Kare in Hindi Kaise ho hamare pyare aur dulare bhai behno. Sab bhale hone chahiye. Hacking kon nahi karna chahta for vo chahe mobile phone ho ya ladki ka dil. Sab apni apni jagah kuch na kuch hack karna chahte hain. Aaj ka post isi baare mein hone jaa raha hai jisme aap janoge ki Whatsapp Account Hack Kaise Kare in Hindi. Toh aap mein se kon kon excited hai aaj ka post padhne ke liye. Hands up. I am sure ki bahut log honge. Jaisa ki aap jaante hain ki hamare blog mein tech, Movies, Softwares ke baare mein bataya jaata hai toh agar aap kuch padna chahte hain toh hamare blog mein jaa ke search kar sakte hain. Jaise ki aaj ka post hamare series mein hone wala hai waise toh hum har post isi tarah se karte hain toh aaj ka post bhi waisa he hoga. Series jaise ki start karenge hum aaj ka post Whatsapp hack karne ke baare me jankari se, fir Janenge Whatsapp Hack Kyu karna hai, Kya whatsapp hack ho sakta hai. Aur ant mein hum aapko main topic yaani ki Wh